Wednesday 28 October 2015

Punjabi Zabaan Kay Writing Script.

Punjabi Zabaan ka Shahmukhi writing script Farsi mein hy.

Urdu bhe Farsi writing script mein likhi jaati hy.

Farsi taweel arsay tak Punjab ki official langue rahi hy.

Maharaja Ranjeet Singh ki hakoomat k waqt bhe Punjab ki official language Farsi he thi.

Punjabi zabaan ko jub Farsi writing script mein likh jaata tha, ous waqt tu Urdu zaban wajood mein he nahi aaee thi.

Khari booli ko 1800 century mein jub Urdu zabaan mein tabdeel kiya gayaa tu Urdu k liay bhe Farsi writing script ikhtiyaar kiya gayaa jo k Muslman Punjabi, Punjabi likhnay k liay, pehlay he 1200 century say Shahmukhi writing script k naam say ikhtiyaar kiay hoay thay.

Punjabi ka Gurumukhi writing script 1500 century mein Sikh Dhurm k wajood mein aanay k baad, Guru Granth Sahib likhnay k liay istamal karna shoro kiya gayaa.

No comments:

Post a Comment