Wednesday 28 October 2015

Punjab Ko Divide Kar K Pakistan Ka Bunaana Ghalat Tha.

1947 mein Pakistan ko bunaanay k liay Sindhi Jinnah aur Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali Khan nay Direct Action Day k zariay Muslim aur Non-Muslim fasaadaat karwa kar Punjab ko aur Punjabi Qoom ko Muslim aur Non-Muslim mein divide karwa diya tha.

 Punjab ki division ki wajaah say 20 Lakh Punjabi maaray gaay. 2 Croor Punjabi displace ho gaay. Punjabiyon ki displacement world ki known history ki sub say bari displacement count ki jaati hy.

 Pichlay 67 years say Punjabi Qoom Massacre aur Migration Trauma mein thi aur sath sath Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ki gaaliyaan bhe sunn rahi thi aur in say blackmail bhe ho rahi thi.

 Durassal, 67 years say Muslman Pakistani Punjabi Qoom apni identity search kar rahi thi k Muslman Pakistani Punjabi kon hain? Muslman hain? Pakistani hain? Punjabi hain?

 Ab Muslman Pakistani Punjabi Qoom nay apni identity search kar lee hy k Muslim tu wo Religion ki wajaah say hain. Pakistani wo Pakistan ka Citizen honay ki wajaah say hain laykun Punjabi wo Punjabi Qoom hoonay ki wajaah say hain.

 Punjabi chahay Muslman ho ya Sikh. Hindu ho ya Christian. Religious dissimilarity k bawajood similar land, language, culture aur traditions ki wajaah say, hain wo Punjabi he. Es liay Punjabi ko Muslman Sindhi, Muslman Baloch, Muslman Pathan aur Muslman Urdu Speaking Hindustani Muhajir k bajaay Punjabi Sikh, Punjabi Hindu aur Punjabi Christian ko phir say unite karna chaheay. Punjab ko phir say unite karna chaheay.

 Punjab ki geographical land aur Punjabi nation alug topic hy jub k Punjab ki geographical land aur Punjabi nation par aik hakoomat ka hoona ya aik say ziyaada hakoomton ka hoona alug topic hy.

 Punjab ki geographical land aur Punjabi nation par es waqt bhe aik say ziyaada hakoomtain hain.

 Aik Punjab tu Pakistan mein hy jis mein Muslman Punjabi rehtay hain. Dosra Punjab India mein hy jis mein Sikh Punjabi rehtay hain. Teesra Punjab bhe India mein he hy jis mein Hindu Punjabi rehtay hain.

 1947 say pehlay yeh Punjab aik he Punjab tha jis mein Muslman Punjabi, Sikh Punjabi, Hindu Punjabi aur Christian Punjabi aapas mein mil jul kar rehtay thay.

 Punjab ko divide kar k Pakistan ka bunaana he ghalat tha. Pakistan ko bunaana tha tu 1940 k resolution k matabaq bunaaya jaata jis k tahat Punjab ko divide nahi hoona tha, Bengal nay Pakistan mein shamal nahi hoona tha aur Kashmir nay Pakistan mein shamal hoona tha.

 Waisay, Punjab ko Pakistan mein shamal karnay k bajaay, as a Punjab he alug State bunna diya jaata tu ziyaada behtar tha. Yeh he demand Unionist Party k president aur Prime Minister of Punjab Sir Sikandar Hayat Khan ki thi. Second world war k waqt in he terms and conditions par Sir Sikandar Hayat nay British ko support bhe kiya aur es liay he second world war mein British Colonies mein say sub say ziyaada recruitment British Army mein Punjab say hoee. Laykun 1942 mein Sir Sikandar Hayat ki 50 years ki age mein death ho gaee jis ki wajaah say Punjab aur Punjabi Qoom mein leadership crisis ho gayaa aur Jinnah ko Punjab mein Muslim League ko organize kar k Secular Punjab ko Religious Punjab mein covert karnay ka mooqa mil gayaa, jis ka injaam Punjab mein mazhabi fasaad k baad Punjab ki taqseem, 20 Laakh Punjabiyon k qatal aur 2 Croor Punjabiyon ki displacement nikla aur 67 saal say Punjabi ghair Punjabiyon say gaaliyan bhe soun rahay hain aur blackmail bhe ho rahay hain.

No comments:

Post a Comment