Wednesday 3 February 2016

Baloch, Muhajir, Sindhi, Pathan k Punjabi Phobia ka Result Kya Nikla?

14 seats waalay Balochon k political leaders nay Balochon ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar k Balochon ko Baloch politics tak mehdood kar diya.

20 seats waalay Muhajiron k political leaders nay Muhajiron ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar k Muhajiron ko Muhajir politics tak mehdood kar diya.

41 seats waalay Sindhiyon k political leaders nay Sindhiyon ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar k Sindhiyon ko Sindhi politics tak mehdood kar diya.

47 seats waalay Pathano k political leaders nay Pathano ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar k Pathano ko Pathan politics tak mehdood kar diya.

Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano k "Punjabi Phobia" mein mubtla ho jaanay ki wajaah say 150 seats waalay Punjabi ab Punjab ki wahid Punjab based political party PMLN ko he mandate day daytay hain jis ki wajaah say PMLN ka leader Nawaz Sharif Punjab ki government tu bunaata he hy laykun national assembly mein Punjab ki 150 seats honay ki wajaah say Pakistan ki federal government bhe bunna layta hy.

Kya Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano k political leaders ki taraf say un ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar daynay k baad kya Punjabi bhe Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano say budzun ho chukay hain?

Kya Punjabi ab apna time aur talent sirf Punjab ki government aur federal government k affairs tak rakhay ga jub k Baluchistan k affairs Baloch, Karachi k affairs Muhajir, Sindh k affairs Sindhi, KPK k affairs Pathan ko khud he resolve karnay parain gay. Sawaay un affairs k jin ka taulq Pakistan k national aur international affairs say ho?

Kya Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano k political leaders un ko "Punjabi Phobia" mein mubtla kar k local level aur provincial level ki hud tak un par rule tu kar rahay hain laykun Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano ka Pakistan k national affairs mein kya bunnay ga?

Kya Pakistan k national aur international affairs ki policy making aur decision taking ab Punjabi khud he kiya karay ga?

No comments:

Post a Comment