Tuesday 16 February 2016

UP-ites k Punjabiyon ko "Pakistani Bunno" k Durs ka Kya Matlab hy?

Punjabi jub Punjabi Qoom Parasti ki baat kartay hain tu Urdu Speaking Hindustani Muhajir, Punjabiyon ko kehtay hain k "Pehlay Pakistani Bunno".

Urdu Speaking Hindustani Muhajiron k, Punjabion ko "Pehlay Pakistani Bunno" k DURS ka kya matlab hy?

Urdu Speaking Hindustani Muhajiron k khiyaal mein Punjabi kya Pakistani nahein hain?

Saalha-Saal tak tu Urdu Speaking Hindustani Muhajir, Punjabiyon ko yeh pati parhatay aa'ay thay k Bengali Pakistani nahein hain, bulkay Muslman bhe nahein hain, yeh Pakistan aur Islam k dushman hain, yeh Sindhi Pakistani nahein hain, bulkay Muslman bhe nahein hain, yeh Pakistan aur Islam k dushman hain, yeh Pathan Pakistani nahein hain, bulkay Muslman bhe nahein hain, yeh Pakistan aur Islam k dushman hain, yeh baloch Pakistani nahein hain, bulkay Muslman bhe nahein hain, yeh Pakistan aur Islam k dushman hain, ab yeh he hurba Urdu Speaking Hindustani Muhajiron nay Punjabion k liay bhe istamaal kerna shoro ker diya hy k, yeh Punjabi Pakistani nahein hain, bulkay Muslman bhe nahein hain, yeh Pakistan aur Islam k dushman hain.

Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ko chaheay k aik baat samajh lyn (samajhtay tu hain es liay ab maan bhe lyn) k Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch na sirf Pakistani hain bulkay Muslman bhe hain.

Jub baat Ummat ki ho tu Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch sachay Muslman hain aur jub baat Pakistan ki ho tu Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch pakkay Pakistani hain laykun jub masla Pakistan k under Samaji, Moaashi, Intzami aur Siyasi mamlat ka ho tu Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Pakistan ki assal Qoomain aur Pakistan k Malik aur Waris honay ki haisiyat say Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch hain.

Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nay Pakistan banaya tha, Pakistan nay Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nahein banaay.

Jub Pakistan nahein tha ous waqt bhe Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch thay aur jiss zameen per es waqt Pakistan hy yeh Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ki he zameen thi aur jub Pakistan bun gayaa hy tu bhe Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch, Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch he hain aur Pakistan ki zameen in he Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ki malkiyat hy.

No comments:

Post a Comment