Tuesday 16 February 2016

USA Ab Punjabi "HIRE" Aur Urdu Speaking "FIRE" Kyon Kar Raha Hy?

Urdu Speaking Hindustaniyon ko samajh nahi aa raha k in ka Mai Baap, USA in say Aankhain kyon phyr raha hy jub k baat boht saada c hy k, Pakistan k qiyaam say laykar MQM k qiyaam tak Urdu Speaking Hindustaniyon aur Punjabion ka Choli Daamun ka sath tha laykun 1986 say MQM k qiyaam k baad Urdu Speaking Hindustaniyon nay Punjabion ko farigh kar k Tunha Parwaaz ka program banaaya. UK, USA he nahi, India tak say Yaranay burhaay. Sindhi Muhajir Bhai Bhai, Dhoti Naswaar Kahaan Say Aai k naaray lagaay. Khench K Rakho, Taan K Rako, Paindoo Bistar Baandh K Rakho aur Khench K Rakho, Taan K Rako, Dhooti Waalon Ko Baandh K Rakho ki policy bunna kar Punjabion ko payghaam di k Karachi ab sirf Urdu Speaking Hindustaniyon ka hy es liay apna Boriya Bistar lapaytain aur Punjab ka rukh karain warna Karachi mein rehnay ki soorat mein Punjabion ko Urdu Speaking Hindustani k Rehm o Karam par inhisaar karna paray ga.

Urdu Speaking Hindustaniyon ka chon k Pakistan ki Bureaucracy, Establishment, Foreign Affairs, Print Media, Politics, Financial Institutions, Urban Centers aur Skilled Professions par ghulba tha, khaas tour par Karachi tu 100% Urdu Speaking Hindustaniyon k control mein tha es liay Urdu Speaking Hindustani, Punjabion k sath Saajhydari khatam kar k Tun Tanha Parwaaz mein kum say kum Karachi ki hud tak tu kaamyaab rahay.

Es waqt Pakistan mein Communication aur Energy Corridors ka Great Global Game ho raha hy. Musharraf aur Zardari k waqt tak Global players ki haisiyat say USA aur UK nay Urdu Speaking Hindustaniyon ko Pakistan mein apna Advisor, Contractor, Consultant aur Dealer bunna kar rakha jis ki wajaah say Punjab Aur Punjabion ki Arm-Twisting ki gaee. Democratically elected political Punjabi Prime Minister of Pakistan ki Government khatam kar k, Punjab based political party PMLN ko divide kar k Opportunists type Punjabion ki political party PMLQ k naam say bunna kar PMLN k President aur Punjabi Prime Minister of Pakistan k sath zilat ameez salook kar k Pakistan say bahir bheej kar Mulk Badar kar diya gayaa. Punjab ko Regions aur Punjabion ko Dialects mein divide karnay ka silsla shoro kiya gayaa, Baluchistan mein Azaad Baluchistan aur Karachi mein Jinnahpur bannanay ki sazish shoro ki gaee ta k Pakistan k tukray tukray kar diay jaein laykun Punjabi Qoom Parasti mein izaafa ho gayaa. Punjabion nay Urdu Speaking Hindustaniyon k haathon Punjab, Punjabion aur Pakistan k khalaaf ki jaanay waali shazishon ka moqaabla kar k USA aur UK ko payghaan diya k Urdu Speaking Hindustaniyon k sath USA aur UK ki Patron ship ka matlab hy k Punjabi China Aur Russia say Relationship barhaaein?

Pakistan mein khylay jaanay waalay communication aur energy corridors k great global game k international players tu USA, UK, China, Russia hain. Regional players India, Iran, UAE, Saudia, Turkey hain laykun National players post k lihaaz say Government of Pakistan aur Pakistan Army hain jub k Qoom k lihaaz say Punjabi Qoom hy. Es waqt Government of Pakistan bhe na sirf Punjabi Prime Minister k pass hy balkay ous Punjabi Political Leader k pass hy jis ko unconstitutional way say hata kar victimize kiya gayaa ta k Punjab, Punjabion aur Pakistan k tukray tukray kiay jaa sakein, Pakistan ki federal cabinet bhe Pakistan mein pehli baar mostly Punjabi federal ministes par he mushtamal hy, Pakistan Army ka Chief bhe Punjabi hy balkay yeh bhe Pakistan mein pehli baar hy k Army k Senior Generals almost Punjabi he Hain. PPP ho ya Sindhi Qoom, PTI ho ya Pathan Qoom, MQM ho ya Urdu Speaking Hindustani, yeh sub National nahi balkay Local players hain, yeh sirf apnay apnay areas mein he Local Affairs ki hud tak Active aur Effective khyl khyl saktay hain laykun National Level k khyl mein bay bus aur baykar hain. In k elaawa deegar players, jaisa k PMLQ, PMLF, APML ANP, JI, JUI type ki political parties tu Local players mein bhe nahi aatay, yeh Service Providers hain, ab in mein say kis ki Services International players laytay hain, Regional players laytay hain, National players laytay hain ya Local players laytay hain, yeh in ki performance par depend karta hy, essi liay yeh aaj kul International na sahi kisi Regional ya National player ko apni Services provide kar k, contract laynay ki koshishain aur kawishain kar rahay hain.


Pakistan mein khylay jaanay waalay communication aur energy corridors k great global game k international players k liay chon k Punjab Aur Punjabi Qoom National player ki haisiyat rakhti hy aur Urdu Speaking Hindustani bharpoor patronization k bawajood Punjabi Qoom ka National player waala role khatam nahi kar paay balkay apna Local player waala role bhe Punjabion k cooperation k baghair barqraar rakhna ab Urdu Speaking Hindustaniyon k bus ki baat nahi rehna es liay UK aur USA ko apni "Carrot and Stick" aur "Higher and Fire" habit k tahat Urdu Speaking Hindustaniyon ko Fire kar k Stick daykhani parni hy jub k Punjabion ko Carrot day kar Hire karna parna hy kyon k USA aur UK ko pata hy k "Aik Miyaan Mein Doo Talwaarain" nahi aa saktein jub k woh Doo Talwaarain Urdu Speaking Hindustani aur Punjabi he hain, es liay, "Ab MQM ka he nahi, Urdu Speaking Hindustaniyon ka he Khyl khatam honay waala hy".

No comments:

Post a Comment