Friday 24 March 2017

Pakistan Ko Punjabistan Kis Nay Bunnaya?

Islam k naam par Muslmano k liay 1947 mein 20 laakh Punjabi murwa kar 2 crore Punjabi bayghur karwa kar jo East Pakistan aur West Pakistan par moshtamal mulk bunnaya gayaa tha wo Bengalion k East Pakistan ko Bangladesh bunnanay aur Sindhiyon, Pathano, Balochon aur Muhajiron k Muslman k bajaay Sindhi, Pathan, Baloch aur Muhajir bun jaanay ki wajah say 1971 mein khatum ho gayaa.

Asooli tour par 1971 mein West Pakistan ka naam Pakistan k bajaay Punjabistan kar dayna chaheay tha. Beherhaal, ab jo Pakistan 1971 mein wajood mein aaya es ki bunyaad Mazhab nahi Qoom hy. Es liay Punjabi Qoom ki es mulk mein majority honay ki wajah say yeh Punjabi majority state hy jis mein 12% Sindhi, 8% Pathan, 8% Muhajir, 4% Baloch minorities hain.

1947 mein Punjab ko chon k Religious ground par divide kiya gayaa tha laykun ab Religious k bajaay Nations ka concept prevail kar raha hy es liay Punjab ka wo area jo Muslmano k liay aik mulk Pakistan bunnanay k liay Punjab say kaat kar Hindustan mein shamal karwa diya gayaa tha ous ko Punjabi area honay ki wajah say dobaara Pakistan mein shamal karna paray ga.

Hindustan mein shamal karwa diay gaay Punjabi area ko dobaara Pakistan mein shamal karnay ki wujaah say Kashmir nay bhe Hindustan k qubzay mein nahi rehna bulkay Pakistan ka he hissa bun jaana hy. Jjis say Pakistan mein Sindhi population 12% say kum ho kar sirf 6% reh jaay gey, jub k Pathan aur Muhajir 4, 4% ho jaein gay aur Baloch 2% ho jaein gay.

Punjabi es waqt Civil Bureaucracy, Military Establishment, Foreign Affairs Services, Industrial Sector, Trade Business, Agriculture Sector, Skilled Professions, Media Organizations, Educational Institutions, Urban Centers par total control hasil kar chukay hain.

Es liay Sindhiyon, Pathano, Balochon, Muhajiron ki marzi hy k Punjab aur Punjabiyon ko gaaliyaan day day kar apna ghum ghalat karain ya Sindhi rural Sindh mein, Pathan Khyber Pukhtoon Khawa mein, Baloch Baluchistan mein, Muhajir Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon k sath mafahmut k tareekay talaash kar k apna social aur economic future mazeed kharaab honay say buchaein.

Sindhiyon, Pathano, Balochon, Muhajiron ko yeh baat summujh layni chaheay k Sindh, Khyber Pukhtoon Khawa, Baluchistan, Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon k sath mafahmut kiay baghair na tu Sindhi, Pathan, Baloch, Muhajir ko Punjab aur Punjab k Punjabi nay ghaas daalni hy, na Pakistan ki Civil Bureaucracy, Military Establishment, Foreign Affairs Services mein izzat milni hy, na Pakistan level ki Media Organizations, Educational Institutions, Urban Centers mein ahmiyut milni hy aur na he Pakistan level par Industrial Sector, Trade Business, Agriculture Sector, Skilled Professions ka moqa milna hy.

No comments:

Post a Comment