Monday 27 March 2017

Pakistan Mein Political Tool Ab Language Hogi.

Pakistan k qaaim hotay he Urdu speaking Hindustani Muhajir Prime Minister nay Islam ko as a political tool for game of socio-economic domination use kar k aur Urdu ko Muslmano ki zabaan qaraar day kar Urdu ko Pakistan ki national language declare kar k Urdu speaking Hindustani Muhajir ko Urban areas of Pakistan, foreign affairs services, civil bureaucracy, military establishment, media organizations, educational institutions, skilled professions par dominate kar diya tha.

Beharhaal, Pakistan ki 97% population Muslim hy laykun 60% population Punjabi hy. Es liay, Pakistan k qiyaam say laykar 1986 mein MQM k qiyaam tak jis tarha Urdu speaking Hindustani Muhajir ki taraf say Islam ko as a political tool for game of socio-economic domination use kiya jaata raha, ous he tarha ab MQM k bunnay k baad use nahi kiya ja sakta.

Pakistan mein ethnicity ab political tool for game of socio-economic domination boht burh chuki hy. Pakistan ki 60% population Punjabi hy es liay Punjabi ab Urdu ko target kar k Urban areas of Pakistan, foreign affairs services, civil bureaucracy, military establishment, media organizations, educational institutions, skilled professions par dominated Urdu speaking Hindustani Muhajir ko Pakistan k national aur international affairs say out kar k Urdu speaking Hindustani Muhajir ki jagaah Sindhi, Baloch aur Pathan ko adjust karay ga.

No comments:

Post a Comment