Friday 24 February 2017

Sammat k liay Sindh ko sumbhaalna kyon moshkal hy?

Sindh k assal bashinday Sammat hain laykun Sammat k liay Sindh ko sumbhaalna moshkul hy. Kyon k, Sindh k rural areas par Balochon aur Syedon nay qabza kiya howa hy jub k Sindh k urban areas par UP, CP walon nay qabza kiya howa hySammat ka haal yeh hy k Balochon aur Syedon say bhe dartay hain, UP, CP walon say bhe dartay hain.

Punjabi tu Sindh k parosi hain. Punjabi bhe aggar mehnut aur moshakaut kar k qanooni tareekay ikhtiyaar kar k Sindh mein rozgaar aur karobar karnay k bajaay Balochon, Syedon aur UP, CP walon ki tarha Sindh par qabza kar laytay tu Sammat nay Punjabiyon say bhe waisay he durna tha, jaisay Balochon, Syedon aur UP, CP walon say dartay hain. Balkay Sindh par qabiz Balochon, Syedon aur UP, CP walon nay bhe Punjabiyon say durna tha k Punjabiyon k sath mahaaz araai ki sorat mein Punjab nay Punjabiyon ki madud karni thi jis say Sindh par qabiz Balochon, Syedon aur UP, CP walon nay dur ba dur ho jaana tha.

Sindh mein Muhajir 19%, Punjabi 10%, Pathan 7%, others 4% hain. Jub k Sammat Sindhiyon ki population 42% hy. 16% Baloch hain. 2% Syed hain. Laykun social, economic, political command and control 
42% Sammat k pass nahi. Rural areas mein 16% Baloch aur 2% Syed nay aur urban areas mein 19% UP, CP waalon nay social, economic, political command and control sunbhaala howa hy jub k Sammat ka dhiyaan apnay say hutta kar rukhnay k liay Punjab aur Punjabi k khalaaf propaganda mein luggay rehtay hain k; Sindh aur Sindhiyon ka political command and control Punjab aur Punjabiyon k pass hy.

Kurdistani nazad tu itnay shatar hain k Balochistan mein Baloch aur Sindh mein Sindhi Baloch bunnay hoay hain aur sirf Sindh mein he nahi bulkay, Baluchistan mein bhe essi tarha ka khail khail rahay hain, jo na Sindh k assal bashinday Sammat ko samajh aata hy aur na Baluchistan k assal bashinday Brohi ko samajh aata hy. Es ko he politics kehtay hain. Jo na Punjabiyon ko aati hy, na Sammat aur Brohi ko.

No comments:

Post a Comment