Thursday 9 June 2016

1940 K Resolution Par Kis Nay Ammal Nahi Kiya?

1940 k resolution k waqt jo Punjab ab hy yeh tha ya United Punjab tha?

Pakistan banaanay k liay Punjab ko kis nay divide kiya?

Pakistan 1940 k resolution ki wajaah say wajood mein aaya ya 1946 k cabinet mission plan k baad Indian Independence Act 1947 of British Parliament k tahat?

Sind, Baluchistan aur Pakistan k area mein aanay waali princely states ko independence Punjab nay dayni thi ya British Government nay?

1947 mein Punjab agar decision taking position mein tha tu Punjabi Qoom k Subcontinent ki 3rd bigger nation honay ki wajaah say Punjab ko divide karwaa kar Punjab ka aik part India aur doosra part Pakistan mein shaamal karwaanay k bajaay Punjab ki he haisiyat say, Dehli say laykar Peshawar aur Kashmir say laykar Kashmor tak k area ki aik independent state na bun jaata, jis mein India ki 560 princely states mein say kuch princely states ko shamal hoona parta?

No comments:

Post a Comment