Thursday 9 June 2016

Muhajiron Ko Democracy Suit Kyon Nahi Karti?

British India ki sub say bari nation Hindi-Urdu Speaking Hindustani thay (UP, CP Waalay), Bengali 2nd bigger nation thay jub k Punjabi 3rd, Telgu 4th, Tamil 5th, Marathi 6th, Bhojpuri 7th, Gujrati 8th bigger nation thay.

British India ko two nation theory ko bunyaad bana kar, 2nd bigger nation Bengali aur 3rd bigger nation Punjabi ko religion ki base par divide kar k Muslman Bengaliyon aur Muslman Punjabiyon ko Pakistan mein shamal kar k aik tu India ki 2nd aur 3rd bigger nations ko divide kar diya gayaa dosra British India ki 4th, 5th, 6th, 7th, 8th bigger nations ko Hindi Speaking Hindustaniyon ki domination mein day diya gayaa, teesra Urdu Speaking Hindustani Muslmano ko Pakistan laa kar Pakistan ka Prime Minister bana diya gayaa. Pakistan ki Qoomi Zabaan bhe in Gunga Jumna culture waalay Hindustaniyon ki Zabaan Urdu ko bana diya gayaa. Pakistan ka Qoomi labaas bhe in Gunga Jumna culture waalon ki Sherwani aur Pajaama bana diya gayaa. Pakistan ki Government, Constitutional Assembly, Bureaucracy, Establishment, Politics, Media, Urban Centres, Educational Institutions par in Urdu Speaking Hindustaniyon ko dominate karwa diya gayaa.

Foreign Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, Industry, Trade Business, Skilled Professions, National Media aur Baray Baray Shehroon par jis Qoom ki baalaadasti ho woh Qoom “Powerful” hoti hy aur politics es power ko hasil karnay ka raasta hy. Powerful honay k liay he her Fard, Community aur Qoom, politics karti hy, jin ko “Power Players” kaha jaata hy. “Power Players” her daur mein khyl khyltay aa’ay hain es liay her jugha politics hoti hy aur her daur mein hoti aaee hy. Yeh albata alug baat hy k kahein politics democratic system aur political ethics k tahat hoti hy aur kahein in k baghair, dictatorial methods aur political conspiracies k zariay.

Pakistan mein bhe “Power” khyl ho raha hy. Pakistan mein es khyl k baray baray “Power Players” Muhajir, Punjabi aur Pathan hain kyon k Sindhi aur Baloch “Power Players” ka game local ya phir ziyaada say ziyaada provincial level tak ka hota hy, kyon k Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Sindhi aur Baloch “Power Players” mojood he nahi hain, swaay Agriculture aur Politics k, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein bhe in ki position kamzoor hy jub k baray baray shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe in ka control nahi hy, es liay, assal game Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” mein hota raha hy aur ho raha hy, kyon k in ka game national he nahi international level ka hy. Albatah Sindhion ko kabhi kabhaar “National Political Power” ka khyl khylnay ka mooqa mil jaata hy, woh bhe jub Punjabi “Power Players” in ko support kardain ya Muhajir aur Pathan “Power Players” in ko Punjabi “Power Players” k maqaablay k liay support kar dain.

Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” nay morchay sumbhaalay hoay hain. Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” mein say bhe assal maqaabla Muhajir aur Punjabi “Power Players” mein he hy kyon k Pathan “Power Players” ki Muhajir “Power Players” k maqaablay mein Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein position kamzoor hy jub k Politics k elaawa, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein bhe Pathan “Power Players” ki Muhajir “Power Players” k maqaablay mein position kamzoor hy jub k baray baray shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe Pathan “Power Players” ki position itni mazboot nahi hy jitni Muhajir “Power Players” ki hy. Beharhall, Pathan “Power Players” ki ahmiyat apni jugha barqraar hy. Khass toor par Punjabi “Power Player” k maqaablay mein Muhajir “Power Player” k sath alliance ki soorat mein ya Muhajir “Power Player” k sath maqaablay mein Punjabi “Power Player” k sath alliance ki soorat mein.

Foreign Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein, Punjabi “Power Player” k baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir “Power Player” ki hy, jub k baray baray shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe Punjabi “Power Player” k baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir “Power Player” ki he hy, es liay Muhajir aur Punjabi “Power Players” mein alliance k bajaay competition aur confrontation k imkaanaat ziyaada hain.

Jub tak Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Punjabi aur Muhajir “Power Players” ka game kisi aik “Power Player” k dosray “Power Player” par wazih baladasti haasil hojaanay ki soorat mein kisi nateejay par nahi ponhach jaata, ous waqt tak Pakistan mein Ammn aur Sakoon nahi hona. Agriculture, Industry, Trade Business, Skilled Professions, Media aur Politics say wasta rakhnay walay logoon nay apnay apnay “Power Player” ki kamyaabi aur makhaalaf “Power Player” ki shakast k liay apnay apnay “Power Player” ki ja bajaa himaayat aur makhaalaf “Power Player” ki ja bajaa makhaalfat kartay rehna hy. Mazhab, Firqay, Nasal aur Qoom ko banyaad bana kar apnay logoon ko unite aur makhaalfon ko divide karnay ka silsla rooz ba rooz barhta rehna hy. Pathan, Sindhi aur Baloch “Power Players” ko bhe es sorthaal mein apna kirdaar aik “Power Player” ki himaayat aur doosray ki makhaalfat ki soorat mein adda karna parna hy.

Punjabi Pakistan ki population ka 60% aur Sindhi 12% hain, es liay Pakistan level per Punjabi aur Sindh level per Sindhi ko democracy suit kerti hy laykun, UPite (Urdu Bolnay walay Muhajir) chon k Pakistan mein sirf 2% hain es liay Democratic system mein UPite (Urdu Bolnay walay Muhajir) k elect ho kar Pakistan aur Sindh per RULE karnay ka imkaan tu rehta he nahein.

Yeh he wajah thi k first Prime Minister of Pakistan, Liaquat Ali Khan k waqt say, Liaquat Ali Khan k liay aur constitutional assembly k upites members k liay, constituencies bananay k liay, UP, CP walon ko Karachi aur Sindh k dosray cities mein la kar aabaad kiya gyaa, jo aaj Sindh aur Sindhion k liay tabahi ka sabub banay hoay hain.

Punab mein, khas tour per Punjab k cities Lahore aur Rawalpindi mein tu UP, CP Walay, yaani Urdu Bolnay walay Muhajir, jin ko Punjabi MATARWA kehtay hain, 1849 say aabad hotay aa'ay hain. Jo aaj Punjab aur Punjabion k liay tabahi ka sabub banay hoay hain.

UP, CP Walon (Urdu Bolnay walay Muhajir) ki tarf say Pakistan k qiyaam say lay ker yeh propaganda chala aa raha hy k "Pakistan Mein Dictatorship Honi Chaheay, Democracy Nahein", UP-ite politicians, journalists, intellectuals, government servants, skilled professions, trade and business related Urdu Speaking Persons nay yeh bar bar kar k bhe dekhaya, jis k liay inhon nay "Punjab Aur Fooj" ko "Pakistan Aur Islam" k khatray mein honay ka shoor machaa machaa kar aur "Fooj Aur Punjab" ko "Pakistan Aur Islam Ko Bachanay Ka Wahid Zariyaa" karar day day kar khob "Baywaqoof Banaya" aur Pakistan mien democratic political system detail karwa kar dictatorship qaim karwa kar Pakistan ki national aur international policy-making aur decision-taking apnay agenda k matabaq kartay aur karwatay rahay.

No comments:

Post a Comment