Thursday 30 June 2016

Sindh mein Sindhi bolnay waalon ki 5 Category hain.

Aik tu Sammat Sindhi hain jo assal Sindhi hain, yeh Hindu hain ya Hindu say Muslman hoay.

Dosray Bhutto, Bhatti, Mehar, Kalyar, Joya, Kachila, Kharal, Siyal, Khokhar, Khairay etc casts k who Punjabi background Sindhi hain, jo 1900 say bhe boht pehlay say Sindh mein reh rahay hain aur ab tu ghar mein aur aapas mein bhe Sindhi he boltay hain.

Teesray Arain, Jatt aur Rajput cast k woh Punjabi background Sindhi hain, jo 1901 aur 1932 mein ja kar Sindh mein abaad hoay. Sindh ka culture adopt kar laynay k baad ab Sindhi he lugtay hain aur Sindhi language bhe booltay hain laykun ghar mein ya aapas mein ab bhe Punjabi he booltay hain.

Chothay Baloch background Sindhi hain, jo 1700 CE mein Abbasi Kalhoro k Sindh par hakomat k daur mein Sindh aa’ay aur Abbasi Kalhoro say hakomat cheen kar Sindh par hakomat karna shoro kar di aur mazeed Balochon ko laa kar Sindh mein zameinain day kar abaad karna shoro kar diya. Yeh ziyaada tar apnay naam k sath ab bhe Baloch zaroor likhtay hain jub k ziyaada tar ghar mein Balochi aur bahir Saraiki booltay hain.

Paanchwain Abbasi, Ansari, Gillani, Jillani, Qureshi, Siddiqui etc  Arabic background Sindhi hain jinhon nay Muhammad Bin Qasim k Sindh par qabzay k baad say mokhtalaf waqton mein Iran k raastay Sindh aakar Aastaanay aur Mazaar bunna kar abaad hona aur Piri Mureedi karna shoro kiya.

Rural Sind par es waqt Sammat Sindhiyon aur Punjabi background Sindhiyon k moqaablay mein Arabic background aur Baloch background Sindhiyon ki social, economic aur political domination hy.

Sindh k urban area Karachi mein Punjabi, Pathan, Rajisthani, Gujrati, Bihari, UP Waalay aur CP Waalay rehtay hain jo khud ko Non-Sindhi kehlaatay hain.

Karachi k Punjabioon, Pathano, Rajisthanio, Gujratioon, Biharioon, UP Waalon aur CP Waalon ko na Sindhi aati hy aur na in ka Sindhiyon k sath business ya social interaction hy aur na wo Sindhi bunnay ya khud ko Sindhi kehlwaanay par tiyaar hain.

No comments:

Post a Comment