Saturday 4 June 2016

Baluchistan K Baarey Bola Jaanay Waala Jhoot.

Baluchistan k baarey mein jo jhoot baka jata hai media pe uska jawab denay k leye humein haqeeqat batana hogi.

Kaha jata hai k Baluchistan pe Kabza kiya gaya aur jab poocha jaye k kaun si jaga pe kabza hua toh bina kisi khuaf se kehte hain k Kalat pe kabza hua۔

Agar hum Maan b lein k Kalat pe qabza hua toh phir ye batayen jo 77% Baluchistan ka hissa hai woh toh Pakistan mein shamil ho chuka tha yani Waazey aksariyat k mutabek Baluchistan apni merzi se shamel hua Pakistan mein.

Rahi baat Kalat ki, Kalat Baluchistan nahe tha, Angrezon ki banaye hue 5 Riyasaten thin Baluchistan k ilaqey mein, Jismein Kharan, Makran, Les-Bela, Kalat aur British-Baluchistan ka Sooba b tha, jis k andhar Quetta, Dera Bugti, Kholu sameth Pashtun ilaqey bhi shameel thay, aur en Sab rayasaton k pas yeh haq majood tha k woh ya Pakistan jayen ya Hindustan, un sab ne Pakistan jaaney ka faisla kiya.

Kalat k members khud 1 saal tak azad rehne ki baat kertay rahay jab k baaki tamam Riyasat Pakistan mein jazb ho chuki thin, Jab Khan of Kalat ne yeh faisla kiya k Pakistan mein shamil hona hai toh us faisaley ki mukhalfat kertay huay Kuch Nawab Afghanistan ki maddat se Pakistani riyasat mein shamel honay ko deshatgardi k zariye rokne ki koshishon mein lag-gaye.

Aakhir Kar Kalat b Pakistan mein shamil hua bakkiya Baluchistan ki terhan, humein sawal yeh Puchna chahiye k 23% ilaqa jo 4 traf se Pakistan k andhar Majood ho woh kesey ek Alag Riyasat reh sakti hai?

Ya Phir woh kesey pooray Baluchistan ki numa-indagi kerney ka dawah rakhta hai?

Courtesy of Naazgul Baloch

No comments:

Post a Comment