Friday 10 June 2016

2018 K Election Mein PPP Ki Position Kya Hogi?

Sind ki 41 seats ka mandate PPP k pass hy jo Sindhiyon ki racist party hy aur PPP k platform say Sindhi, politics k naam par
Sindh Card khyltay rahay hain.

Chotay soobon ko Punjab aur Punjabion k khalaaf unite kar k, chotay soobon mein Punjab aur Punjabion k liay nafrat paida kar k, chotay soobon mein wafaaq k khalaf nafrat paida kar k, Punjab say kuch mafaad parast Punjabi apnay sath mila kar Punjab ko Regions aur Punjabiyon ko Dialects mein divide karnay ka khyl khyl kar Punjab aur Punjabiyon ko yeh keh keh kar blackmail kar kar k Pakistan ki federal government hasil karnay mein kamyaab hotay rahay k;

1.    Punjab aur Punjabiyon ko chotay soobon aur choti Qoomon say sirf PPP bacha sakti hy.

2.     Pakistan ko tootnay say sirf PPP bacha sakti hy.

3.    Sirf PPP he wafaq ki alaamat hy.

Laykun, Punjab aur Punjabion nay ab achi tarha say PPP ki policy ko samakh liya hy.

Es liay PPP ko na tu 2013 k election mein mandate mila aur na 2018 k election mein PunjabiYon ka mandate milna hy.

Balkay 2013 k election mein PPP ko KPK ki 35 aur Baluchistan ki 14 seats say bhe mandate nahi mila aur na 2018 k election mein milna hy.

Jub k Karachi ki 20 seats say na pehlay PPP ko mandate mila, na 2018 mein milna hy.

Es liay PPP ko 2018 k election mein sirf Sind tak he mehdood rehna paray ga.

Es liay 2018 k election mein Sindh say national assembly ki seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun PPP ki federal government bananay ki koshish nahi kar sakain gay.

No comments:

Post a Comment