Tuesday 21 June 2016

Kya MQM K Urooj K Liay Muhajir Army Chief Ka Hoona Zaroori Hy?

Yeh kuch points hain jo un logoon ki brainstorming k liay kafi hain, jo yeh samjhna chahtay hain k MQM Army ki support k baghair kya hoti hy aur Army ki support k baad kya hoti hy.

Yeh bhe analyze kiya ja sakta hy k MQM ko kub Army ki support mil jati hy aur kub nahi mil pati.

Yeh bhe note kiya ja sakta hy k Chief of Army Staff jub Muhajir ho tu MQM ki mooj ho jati hy aur Chief of Army Staff jub Muhajir na ho tu MQM mordaar ho jati hy.

Punjabi General Zia k Martial Law k daur mein, General Zia k Martial Law Administrator aur President of Pakistan honay ki wajah say Muhajir General Mirza Aslam Baig 1985 mein Chief of General Staff honay ki wajah say operational aur intelligence k maamlaat mein khud mukhtiyar thay. March 1987 say Muhajir Mirza Aslam Baig Vice Chief of Army Staff bhe bun gaay. Muhajir General Akhtar Abdu Rehman bhe 1979 say 1987 tak ISI k Director General rahay, MQM in he Muhajir Generals aur in k Military Establishment, Foreign Affairs aur Civil Bureaucracy mein mojood UP, CP k Muhajiron ka Brainchild hy.

Sind k rural areas mein Sindhi aur urban areas mein Muhajir majority hy. 1985 mein Sind k rural areas k Sindhi ki majority PPP mein thi aur urban areas k Muhajir ki majority Jamaat-e-Islami (JI) aur Jamiat Ulema-e-Pakistan (JUP) mein laykun 1985 mein Non-Party base par Pakistan ki national aur provincial assemblies k elections k baad, Martial Law khatam kar k, ous waqt k President of Pakistan, General Zia-ul-Haque k plan k matabaq, Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka qiyaam ammal mein laaya gayaa. Jis ki wajaah say PML-J Sind k rural areas aur urban areas ki sub say bari aur ruling party bun gaee.

1985 mein Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka Central President aur Prime Minister of Pakistan, Sindhi Muhammad Khan Junejo, PML-J Sind ka President aur Chief Minister of Sind, Sindhi Ghous Ali Shah, k bun jaanay, PML-J mein national level par Sindhi, Punjabi, Pathan aur Baloch ka ghulba ho janay, jub k, Sind k rural areas mein tu Sindhiyon ki majority aur Muhajiron ki domination nahi thi laykun Sind k urban areas par bhe, jahaan Muhajiron ki majority thi, PML-J ki domination ho jaanay aur Pakistan ki federal government, Sind government aur PML-J par Muhajiron ka control na ho paanay ki wajah say, 1987 mein MQM ko ammli toor par Karachi aur Hyderabad say siyaasat k maidaan mein uttaara gayaa ta k MQM k platform say Sind k urban area par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti qaim karwa kar Sind k baray baray shehroon par Muhajiron ka mokammal control qaim karwa kar, rural areas k Sindhiyon ko Sind k urban areas par dominate honay say rook kar, Sind k urban areas k Muhajir dominated honay ki bunyaad par, Muhajiron ki Federal aur Sindh ki Provincial Government k liay siyaasi ehmiyat ko yaqeeni bana kar, Muhajir Bureaucrats aur Establishment ko permanent political support provide hotay rehnay ka intzaam kiya ja sakay.

Pakistan ki federal aur Sind ki provincial government, PML-J k pass honay k bawajood 1987 mein honay walay local bodies election mein PML-J k bajaay MQM ko Karachi aur Hyderabad say elect karwa kar Karachi aur Hyderabad k Mayors MQM k banwaay gaay, jis ki wajaah say Karachi aur Hyderabad k local government k departments aur local affairs mein Urdu Speaking Hindustani Muhajir nay total dominating position hasil karna shoro kardi jis say provincial aur federal government k departments ko pressurize aur blackmail karnay k sath sath strikes, jalaao, ghairaao, bhata khori, aghwa, qatal aur gharatgiri ka silsla bhe shoro ho gayaa.

1987 mein Chairman Joint Chiefs of Staff Committee Muhajir General Akhtar Abdu Rehman tha aur Vice Chief of Army Staff, Muhajir General Mirza Aslam Baig tha. Durassal, MQM Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy. Jub k MQM k local networks KMC, HMC, KDA, HDA, KWSB, KBCA, KSE, Education Department, Health Department, Port and Shipping Authority, Steel Mill, Karachi Airport, Banks, Insurance, Multi National Companies aur Print, Electronic Media mein jobs karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajiron par moshtamal hain.

1988 mein pehli baar jub PPP government mein MQM ko shaamal kiya gayaa tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig tha.

Jub PPP ki government nay 1990 mein MQM k khalaaf Pacca Qila operation shoro kiya tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig he tha jis ki wajah say PPP government MQM k khalaaf operation mokummal na kar saki.

1990 mein jub Nawaz Sharif ki hakomat mein MQM shaamal hoi tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig he tha.

1992 mein jub Nawaz Sharif nay MQM k khalaaf operation kiya tu ous waqt Chief of Army Staff, Punjabi Asif Nawaz tha.

1993 mein jub dobaara PPP ki hakomat bunni tu ous waqt Chief of Army Staff, Pathan Waheed Kakar tha, MQM ko hakomat mein shaamal nahi kiya gayaa aur operation bhe jari raha.

1997 mein jub dobaara Nawaz Sharif ki hakomat bunni tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Jehangir Karamat tha. MQM ko hakomat mein shaamal kiya gayaa.

1998 mein jub Hakim Saeed k murder k baad MQM k khalaaf operation shoro kiya gayaa tu Muhajir Jehangir Karamat nay Nawaz Sharif ki hakomat ko disable karna shoro kar diya jis ki wajah say Jehangir Karamat ko nikaal kar dosra Chief of Army Staff banana para laykun dosra Chief of Army Staff bhe Muhajir he bana diya gayaa jo Muhajir Musharraf tha, jis nay Nawaz Sharif ki hokomat he khatam kardi.

2001 mein, Muhajir Chief of Army Staff, Musharraf ki hakomat k daur mein Altaf Hussain nay UK k Prime Minister Tony Blair ko letter likha jis k baad MQM ki taraf say Pakistan mein jaasoosi karnay aur MQM ko Pakistan ki federal aur Sind government mein hissa daynay ka agreement howa, zahir hy Government of Pakistan ki marzi k baghair agreement nahi ho sakta tha aur 2001 mein Muhajir Musharraf he Pakistan ka Chief of Army Staf aur Chief Executive tha, ous nay he agreement k liay consent diya. Balkay, agreement karwaaya aur MQM k morda ghoray mein dobaara jaan daali. Warna MQM tu ous waqt tak mordaar ho chuki thi.

2002 k election k baad PMLQ ki hakomat bunni tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Musharraf he tha, MQM phir government mein aa gai aur 2008 tak Government mein he rahi.

2008 meim aik baar phir say PPP ki government bunni tu ous waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani tha laykun es k bawajood Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari nay MQM ko PPP ki government ka hissa bunnaaya. Yeh wahid mooqa hy jub MQM Muhajir Chief of Army Staff k na honay k bawajood Government ka hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka hissa bana kar Punjab aur Punjabion k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko Saraiki sazish k zariay divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatam kar k PPP ki Government banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir Dictator General Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief Justice ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur Establishment ki support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner karna tha, jis mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman, Zardari naakaam raha.

2013 mein aik baar phir say Nawaz Sharif ki government bunni tu Chief of Army Staff, Punjabi Pervez Kayani tha, MQM ko government mein shaamal nahi kiya gayaa.

2016 mein bhe Nawaz Sharif ki he government hy laykun Chief of Army Staff, Punjabi Raheel Sharif hy, MQM ko abhi tak government mein shaamal nahi kiya gayaa.

Kya MQM Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy?

No comments:

Post a Comment