Section 3
Section 3
mein hy k es act say pehlay jo Pakistan migrate ho gaay woh Pakistan k citizens
hain.
Section 3
mein migration say muraad Punjab ki division ki wajaah say India mein include
kiay janay walay Punjab k area say Pakistan mein include kiay janay walay
Punjab k area mein aanay walay hain.
Section 4
Pakistan k
area mein paida honay walon par section 4 apply hota hy.
Section 5
Section 5
un buchon par apply hota hy jin k father ya mother mein say aik Pakistan ka
citizen na ho.
Section 6
Section 6 k
tahut 1 January 1952 say pehlay India say Pakistan mein permanent rehaish k
liay aanay walon nay Pakistan ki citizenship layni hy. UP, CP k logon nay
migration nahi ki thi balkay Pakistan mein permanent residence k liay aa'ay
thay es liay 1 January 1952 say pehlay India say Pakistan mein permanent
residence k liay aanay walon ko Section 6 k tahut Pakistan ki citizenship layni
thi. India say Pakistan aanay walon par section 6 apply hota hy.
Section 7
Pakistan k
Citizenship Act 1951 k Section 7 k tahut Pakistan say India migrate honay walon
ki Pakistan ki citizenship khutum ho gae.
Section 7
mein migration say muraad Punjab ki division ki wajaah say Pakistan mein
include kiay janay walay Punjab k area say India mein include kiay janay walay Punjab
k area mein jaanay walay hain.
No comments:
Post a Comment